Dear Zindagi Movie Dialogue
Release Year – 2016
Kabhi Kabhi Hum Mushkil Rasta Sirf Is Liye Chunte Hai...
Kyun Ki Humein Lagta Hai...
ortant Cheezein Paane Ke Liye Humein Mushkil Rasta Apnana Chahiye...
Apne Aap Ko Punish Karna Bahut Zaroori Samajhte Hai...
But Why, Aasaan Rasta Kyun Nahi Chun Sakte...
Kya Burai Hai Us Mein...
Khaas Karke Jab Us Mushkil Ka Saamna Karne Ke Liye Hum Taiyaar Hi Nahi Hai…
Don't Let The Past Blackmail Your Present...
To Ruin A Beautiful Future…
Albert Einstein Ne Kaha Tha...
Pagal Woh Hota Hai Joh Roz Roz Same Kaam Karta Hai...
Magar Chahta Hai Ki Nateeja Alag Ho…
Jab Hum Apne Aap Ko Achchi Tarah Samajh Lete Hai...
Toh Doosre Kya Samajhte Hai...
Doesn't Matter...
Not At All…
Genius Woh Nahi Hota Jiske Paas Har Sawaal Ka Jawab Ho...
Genius Woh Hota Hai Jiske Paas Har Jawaab Tak Pahunchne Ka Patience Ho…
Tum Agar Khulke Ro Nahi Sakogi...
Toh Khulkar Has Kaise Sakogi…
Zindagi Mein Jab Koi Pattern Banta Ya Koi Aadat Banti Dikhai De Na...
Toh Uske Baare Mein Achchi Tarah Se Sochna Chahiye...
Genius Is About Knowing When To Stop…
Agar Hum Apni Zindagi Ka Steering Wheel Apne Haath Mein Nahi Lenge Na...
Toh Koi Doosra Driver Seat Par Baith Jayega…
Zindagi Ek Jigsaw Puzzle Ki Tarah Hai...
Mere Jaise Log Us Puzzle Ke Khoye Hue Tukde...
Sirf Dhoondne Aur Jodne Mein Madad Kar Sakte Hai...
Par Only You Can Complete The Puzzle…
0 comments:
Post a Comment